Satyanarayan Aarti Lyrics Video Song

Lyrics of Satyanarayan Aarti and Devotional Video Song. Satyanarayan Aarti is the Hindi devotional aarti song addressed to Lord Satyanarayan or Lord Vishnu.

Shri Satyanarayan Aarti Lyrics - Jai Lakshmiramaana Arti Lyrics

Jai Lakshmiramana, Shri Jay Lakshmiramana,
Satyanarayan Svaami, Janapaatak Harana.
Om Jai…

Ratn Jadit Sinhasan, Adbhut Chavi Raaje,
Naarad Karat Niraajan, Ghanta Dhvani Baaje.
Om Jai…

Pragat Bhaye Kali Kaaran, Dvij Ko Darash Diyo,
Budho Braahman Bankar, Kanchan Mahal Kiyo.
Om Jai…

Durbal Bhil Kathaaro, In Par Kripa Kari,
Chandrachud Ek Raja, Jinaki Vipati Hari.
Om Jai…

Vaishy Manorath Paayo, Shraddha Taj Dini,
So Phal Bhogyo Prabhuji, Phir Stuti Kini.
Om Jai…

Bhaav Bhakti Ke Kaaran, Chhin-Chhin Rup Dharyo,
Shraddha Dhaaran Kini, Tinako Kaaj Saryo.
Om Jai…

Gvaal Baal Sang Raja, Van Mein Bhakti Kari,
Manavaanchhit Phal Dinho, Dindayaal Hari.
Om Jai…

Chadhat Prasaad Savaaya, Kadali Phal Meva,
Dhup Dip Tulasi Se, Raaji Satyadeva.
Om Jai…

Satyanarayan Ki Aarati, Jo Koi Nar Gave,
Kahat Shivanand Svami, Vanchhit Phal Pave.
Om Jai…

Satyanarayan Aarti Video Song - Devotional Video Song






Comments

  1. Jai Baba Mohan Ram

    Gauri Nandn Ganraj ka mein pratham sumru naam
    Shri guru charan raj mastak var likhun mahima Mohan ram
    Karein dnadwat naman tumhe shri kholi ke maharaj
    sharan pade hum shyam aap ki pooran kijiye kaaj
    Pooran kijiye kaaj nitya muni ratein aap ki mala
    Kripa sindhu bhav sindhu jag bandhu deen dayala


    Jai Jai Mohan Ram Kanhayi, Aanand kand teri kala sawayi
    Bal sidh yogi brahamchari, shakti waan mahatapdhari
    Dukh bhanjan sacche such data, bhakt jano ke bhagya vidhata
    Jab jab dukh mein tumhein pukara, aa ke tum ne diya sahara
    Sant roop krishan avatari, deen dayala Mohan murari
    Kholi mein avatar liyo hai nandu ji ko darsh diyo hai
    Roop saroop anoop nirala kanan kundal gal mein mala
    Bhoori lata math pe sohe, much mandal chavi man ko mohe
    Neela ghoda wahan pyara dhanya aapka kholi dwara
    Gaon milakpur roshan kiya Saccha gyan jagat ko deeya
    parwat upar bhawan viraj, Laal dhwaja aakashi saaje
    maya apram paar tumhari, bhole bhale such bhandari
    Andho ko tum netr dete pal mein duk peeda har lete
    Nirdhan ko dete dhan maya, Karo rogiyon ki shudh kaaya
    Bal buddhi ke dene wale chamatkaar hain bade nirale
    Aa ke dar pe jot jagawein godi putr baanjh khilawein
    Pooja shubh din doj suhani poojein sant muni braham gyani
    Nishchaya kar jo tum ko dhyawe bhay chinta nahi shok satawe
    Naya johad gular ki chaya jahan pe adbhut raas rasaya
    Sacchon ko bhav taran wale, asuron ko Saharan wale
    Ram shyam jaise gun paaye, tab hari Mohan RAAM kahaye
    Panchi tak jaya kara bole, kaano mein amrit ras ghole
    Mohna naam jape sanyasi ram naam sarv parkashi
    Mohan naam bhay metan hara, RAAM naam ka sakal pasara
    Mohan naam brahamaand samaya , RAAM naam sab khel rachaya
    Raam naam vedon ne gaya sab santan ko gyan bataya,
    Mohan naam sar muni gaawein, raam naam ka dhyan lagawein
    Mohan naam ko agam batawein, Ram naam ka ant na paawein,
    Mohan naam hay par upkari, Mohan naam sab ka hitkari
    Mohan naam Shubhmangalkari, Raam naam Mayavistari
    Sadbuddhi sadbhaav jagao, dushkarmon se humein bachao,
    Bhakti ka maarg apnaayein, kar shub karm sada such paayein,
    Yogi raaj yahi abhilasha, karo nath hridaya mein basa
    Shat shat baar naman hai tumko daan daya ka dena hum ko
    Teri bhabhuti mastak lyawein, charno mein hum sheesh jhukawein,
    Karpa drishti karna baba, dukh bhaya chinta harna baba
    nitya naibh chalisa gawein, khush ho manwanchit fal paawein
    aawe such sampatti ghar mein, jin ka dhyan mohan hari har mein
    rameshwar bhikshu agyani, prem daan dena mahadani,
    dete raho daas ko darshan, jis se rahe aatma parsann

    ReplyDelete
  2. Prem se job bhi ye chalisa padhe sune nar naar
    Kahein rameshwar prassan ho shri kholi k awatar
    Dukha bhay chinta rog door hon, khushiyaan milein apaar
    Mil kar bolo sabhi mohan baba ki jai jai kaar


    Jay Jay Baba Mohan RAAM, Jai Jai Pawan kholi dhaam
    Sacche deenanath dayala, shakti prabal maha vishala
    Dukh bhanjan yogi datar mahima dekhi aparampaar
    Bhoomi bhaar utaran aaye, asuron ko Saharan aaye
    Kali kholi k sardar, neele ghode ke aswaar,
    Ghor tapaswi sant mahan, bhakt jano ka rakhte dhyan
    pyara sukhdayi subh naam
    Jay Jay Baba Mohan RAAM
    Parwat upar mandir pyara prem sahit bole jaykara,
    Laal dhwja nabh lehrawe, dekh dekh man harshawe
    Jyoti akhand jale din raat, aa ke bhak lagawe jjat
    Adhar shila hai sat ka jor, sil bijni ki gunje ghor
    Pathar pe padchinh mahan, ashwakhuron ke bane nishaan,
    Chetan dhoona dharma swaroop,drishya dhaam pa bada anoop,
    pyara dhanya milak pur gaam
    Jay Jay Baba Mohan RAAM
    Naya johad gular ki chaya, gwalon ke sang raas rasaya,
    Nandu bhakt gwal bechara, gau chara ke kare gujara,
    Deen heen chahe nirdhan tha, nek purush bhakti mein man tha
    Kripa kar ke darash diye, us ke dukh sab door kiye,
    chamatkar dikhlaya tha, sab vritaant sunaya tha
    Shudh bhawna kar jo dhayawe, wo hi manchaha fal paawe
    Un ke pooran ho sab kaam
    Jay Jay Baba Mohan RAAM
    Pooja doj manayi jaa, kanya gau jimaayi jaa,
    Doodh kheer ka bhog lage ghee ki jag mag jot jage
    Kheel batashe baate ji, johad mati chaate ji
    Bhare jalhari gwal jimaawe, dhwaja nariyal fool chadhawe,
    Parkamma de nar naari, pooja mein aanand bhari,
    Baat sakere chugga ger, jai Baba ki gunje ter,
    Kalyug ke shree krishn shyaam
    Jay Jay Baba Mohan RAAM
    Sharan pade moorakh nadan, he sukhdata karna dhyan,
    Vishya waasna door karo, bhandara bharpoor karo
    Bhakti ka war dena ji, dukh chinta har lena ji,
    Nek charitr waan bane, avgun chod mahan bane
    Hridya mein sadbhaaw bahro dharm punya ka chaav bharo
    Karta ramrshwar gungaan, gun vidya ka do vardaan,
    Shat shat shaashtaang pranam
    Jay Jay Baba Mohan RAAM
    Mahima Mohan Raam ki jo nitya prem se gaaye,
    Jeevan bhar sukh mein rahe, Ant moksh pad paaye

    ReplyDelete
  3. Thanks for the Chalisa.

    ReplyDelete

Post a Comment

Search Hindu Devotional Topics

Contact Hindu Devotional Blog

Name

Email *

Message *